Jin dukaano se Amit Ji aur Shahrukh bhai ke suit aate hain,
Un jagaho pe hamare “Kacche” sile jaate hai!!
Amir hu itna ki samajh main nahi aata,
Sochta hu 15-20 bank hi khol loo!!
Paisa dimaag main nahi, jaib main rakhna chahiye,
Dimaag kata to, nuksaan aa-sahneyin hoga!!
Ek din chalte-chalte, jaib se kuch paise gir gaye,
Agle din Ambani ka photo, akhbar main sabse upar tha!!
Dimaag se “arabpati”, khyalo se “crorepati” kavi hai hum,
Pee lete hai kuch bhi; whiskey, vodka ya rum!!
Bin maange moti mile, maange mile na bheekh,
Padh to liye tere saare sher, ab kahe raha hai cheekh!!
Khareedne ko poora brahmand khareed loo,
Par dikkat to yeh hai, ke kise ne “kahi hi nahi”!!
Namaskar, is darbar main paagal kaviyo ka majma lagta hai,
Hasta kya hai kambakht; idhar aa, tu bhi kuch-kuch paagal dikhta hai!!
No comments:
Post a Comment