Monday, April 7, 2014

Joining the bandwagon | #IssBaarMODISarkar!!!

Taking inspiration from current #issbaarmodisarkar jibes; here are 20 pieces of creativity from a dangerously creative mind.

Sehatmand rahane ke liye; roz kariye falahar,
#issbaarmodisarkar

Vishnujee ki leela aparam paar,
#issbaarmodisarkar

Kohli ne maare T20 world cup final main chhakke chaar,
#issbaarmodisarkar

Jyada sharaab peene se; aadmi hota hai beemar,
#issbaarmodisarkar

Pyaar main ho jaati hai aankhein chaar,
#issbaarmodisarkar

Picture dekhi maine Son of Sardar,
#issbaarmodisarkar

Congress ke raj main; janta ne jheley mehngai ki maar,
#issbaarmodisarkar

Toot gayi hai arth-vyavastha; aur thanda pada hai vyapar,
#issbaarmodisarkar

Cycle wale chaleyenge scooter, aur scooter wale car,
#issbaarmodisarkar

Ab jawab milenge unko; jo baithe hain seema-paar,
#issbaarmodisarkar

Desh main charcha hai yeh; aur yehi hai samachaar,
#issbaarmodisarkar

Kapde sukhane ke liye; use kare Havells ki taar,
#issbaarmodisarkar

Jeetenge Delhi, UP, Rajasthan aur Bihar,
#issbaarmodisarkar

Aam aadmi bhatak gaya hai; aur Haath ne diya hai thappad maar,
#issbaarmodisarkar

Suraj ne garmi se jala diya; chaand ka na kiya deedar,
#issbaarmodisarkar

Hulk, Spiderman, Superman, Ironman aur Captain America bhi kare namaskar,
#issbaarmodisarkar

Baby doll na sone di aur lochha-e-ulfat ki dar-kaar,
#issbaarmodisarkar

Munni ki badnaami aur Sheila ki jawaani karegi chamatkar,
#issbaarmodisarkar

Veer tum badhe chalo, na maano itni jaldi haar,
#issbaarmodisarkar

Ghar jaake jaldi, TV pe dekho chitrahaar,
#issbaarmodisarkar